Vo ek waqt tha, ab ek waqt hai…

​Ek waqt tha

Jab dil mai Jo rakt tha

Usme dard tha

Karta Jo besabr tha

Sab kam tha

Khushi nhi, bas gum tha

Ek insaan tha

Jo badnaam tha

Na wajud tha 

Na vo kud tha

Bas kala har taraf tha

Man toh jese barf tha

Shaant tha Par sakt tha

Jese niche dukh ka takt tha

Pigalta tha 

Machalta tha

Samalta tha

Par kuch bhi Ho na vo badalta tha….

Ab ek waqt hai

Ab dil mai Jo rakt hai

Uska ek Hi karm hai

Karta Jo prem prasang hai

Sab kuch hai

Khushi itti! Jo sach hai

Ek insaan hai

Jiska ab ek naam hai

Jisko mila ek wajud hai

Dekha kisiko toh laga jese vo kud hai

Bas ab rang har tarf hai

Jal gayi vo barf hai

.

.

.

Ye sab hua hai kyuki tu hai

Mil gayi atma, mil gayi ruh hai

Ab uss barf ki thandak hai

Aur pyar ki mehek hai

Kuch karne k liye vo garm hai

Aur tu Hi

Ha bas tu hai

Tu Hi mera dharm hai

32 thoughts on “Vo ek waqt tha, ab ek waqt hai…

Leave a reply to priyesh bohra Cancel reply